waqt be waqt baat krta hai
har pal jo mere saath rehta hai
kar deta hai har problem ko solve wo
de deta hai har uljhan ka tod wo
kar deta hai mujhe always happy
bas main hu yaha or mera lappy
deta hai kaam sara din ye mujhe
rkhta hai update sari duniya ki khbr se
kr deta hai connect bas ek hi click me
pohoncha deta hai mujhe nayi ik duniya me
bas krta nahi baate mujhse, its really crapy
par kaam boht ata hai ye mera lappy
gila nahi krta shikwa nahi krta
or dosto ki trah shikayat bhi nahi krta
andaaj alag hai iska naraaj hone ka
andaja hota hai tab jab pta chlta hai iske grm hone ka
tab jake leta hai ye ik choti c nappy
thoda nakhre wala to hai mera ye lappy
jitna kaam smbhalta hai utna khyaal bhi rkha hai iska
time to time antivirus update rkha hai iska
aakhir duniya ko jeetna hai iske sahare mujhe
khana na sahi battery to chrage rakhni padegi mujhe
kar lenge sab hum, nahi chahiye kisi ki helpy
kafi hain hum "BAS MAIN OR MERA LAPPY"
No comments:
Post a Comment